नंदन-वन की नंदिनी

नंदन-वन की नंदिनी

Sunday, April 5, 2009

To...pehala kaam.. khud ko...jaganaa

kitna mushkil hai khood ko phasana.....
ki hum ek hai..aur manav dharam ek hai........
aur saare bhartiya...mere bhai behen hai....
ye pratidnya...sirf patshala ka ek rule hai.....
nursery me daakhilaa liya..papa form bhar rahe the...
yeh sawal thaa ..cast [dharam] kounsi hai?
hindu....lingyat.......
papa...ye dharam kya hota hai..? mera sawal tha....
beta ..tum nahi samjogi....bahot choti ho.....
"aaya" ne meri ungli thami....
aaya se maine pucha ......aap ka dharam kya hai.....?
muslim............
yeh thaa pehla paath mere bachpan ka.....
kitna aasan ho ghaya hai....khud ko phasana...

mere dada..mere dada ke dada..unke dada ke dada
sabhi ne yahi sikha ..hum sab ek hai...manav dharam ek hai...
koi to mere sawalo ka jawab do..........?
'ramayan kahan se aaya..?kuran kahan se aaya..?
mahabharat kahan se aaya....?aur ye bible ..kahan se aaya...?
kitna aasan ho ghaya hai ..khudko phasa na....
aaj 'bhagwan' 'allaah' 'jejus' bhi laachar hai.....
unke naam par hi..ek doos re ko marod rahe hai....
candle bhi bahot jalaye.......t.v.par nam bhi failaye....
ki..hum ladenge ....hum ladenge.....
dhusri subah ko dekha ...wo khud hi lad rahen hai.....
mai "maratha"...tu "muslim"....wo "bhihari".....
..... kitna aasan ho gaya hai khudko phasana.........
sirf "dil" se socho.."bharat mera desh hai"..aur "bharat mera ghar hai"...
..... hum sab bhai behan hai...
to candle bhi nako....list bhi nako.....
khudko jagao.......khudko jagao......
to aasan nahi hoga khudko..phasana......
to...pehla ..kaam..
khudko jagana ......khudko jagana.......

नंदिनी पाटिल